• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hijr Mein Aankhen Aansu Ban Kar Bah Jati Hain Socha Nain

Hijr Mein Aankhen Aansu Ban Kar Bah Jati Hain Socha Nain

hijr men ankhen aansu ban kar bah jaati hain socha na.iin

vo bhi us din ghusse men tha aur main ne bhi roka na.iin

kitna mushkil hai ye kahna main tera ho sakta na.iin

phir bhi main tujh ko ye dukh to de sakta huun dhoka na.iin

ek jagah par Thahri ankhen gahri sochen ḳhamoshi

kab tak ḳhud pe zulm karoge is ko vapas aana na.iin

is se bichhaḌ kar soch raha huun us ko bhulane ki tarkib

log sharab piya karte hain main cigarette tak piita na.iin

shikve mujh ko bhi hote hain mera dil bhi dukhta hai

apne andar ghuT jaata huun meri jaan main kahta na.iin

kis darja nuqsan uThaya hai ham ishq faqiron ne

jitna tujh ko kho baiThe hain utna tujh ko paaya na.iin

ye pariyon se chehre jin par jaan chhiḌakte hain ham log

mujh ko in peḌon ke niche dhuup mili hai saaya na.iin

kitni ummiden hoti hain un ko ik haan sunne ki

lekin aksar puchhne valon ke hisse men aaya na.iin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noshi-gilani

Kisi Harf Mein Kisi Bab Mein Nahin Aaega

firaq-gorakhpuri

Har Nala Tere dard Se Ab Aur Hi Kuchh Hai

Yun to Har Ek shaKHs Hi Talib Samar Ka Hai

Junun Mein Der Se KHud Ko Pukarta Hun Main

Mar Ke Bhi Qamat-E-Mahbub Ki Ulfat Na Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet