hava ka taḳht bichhata huun raqs karta huun
badan charagh banata huun raqs karta huun
main baiTh jaata huun takiya laga ke batin men
ḳhud apni bazm sajata huun raqs karta huun
zamin hanpne lagti hai ik jagah ruk kar
main us ka haath baTata huun raqs karta huun
mira surur mujhe khinchta hai apni taraf
main apne-ap men aata huun raqs karta huun
main janta huun mujhe kaise shant hona hai
kaho to ho ke dikhata huun raqs karta huun
miri misal dhuan hai bujhe charaghon ka
jab apna sog manata huun raqs karta huun
ajiib lahr si ‘anjum’ mire ḳhamir men hai
jise vajud men laata huun raqs karta huun
Leave a Reply