• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Har Taraf Husn Hai Jawani Hai

Har Taraf Husn Hai Jawani Hai

sahir-ludhianvi

har taraf husn hai javani hai

aaj ki raat kya suhani hai

reshmi jism sarsarate hain

marmarin khvab gungunate hain

dhadkanon men surur phaila hai

rang nazdik-o-dur phaila hai

davat-e-ishq de rahi hai faza

aaj ho ja kisi hasin pe fida

mohabbat bade kaam ki chiiz hai

mohabbat ke dam se hai duniya ki raunaq

mohabbat na hoti to kuchh bhi na hota

nazar aur dil ki panahon ki khatir

ye jannat na hoti to kuchh bhi na hota

kitabon men chhapte hain chahat ke qisse

haqiqat ki duniya men chahat nahin hai

zamane ke bazar men ye vo shai hai

ki jis ki kisi ko zarurat nahin hai

ye be-kar be-dam ki chiiz hai

mohabbat bade kaam ki chiiz hai

ye bas naam hi naam ki chiiz hai

mohabbat se itna khafa hone vaale

chal aa aaj tujh ko mohabbat sikha den

tira dil jo barson se viran pada hai

kisi nazninan ko is men basa den

mira mashvara kaam ki chiiz hai

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

dagh-dehlvi

Ajab Apna Haal Hota Jo Visal-E-Yar Hota

ahmad-nadeem-qasmi

Ye Faza, Ye Ghatiyan, Ye Badliyan Ye Bundiyan

Mujhe Ab Naya Ek Badan Chahiye

etibar-sajid

Band dariche Suni Galiyan An-dekhe Anjaane Log

azra-abbas

Sab din Ek Jaise Nahin Hote

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet