meri har fikr men tufan ki tughyani hai
aur mire shauq men jazbon ki faravani hai
yuun junun bahta hai dariya ki ravani jaise
aur miri soch men palti hai kahani jaise
main ne to himmat-e-mardan-e-khuda sikhi hai
main ne tuute hue lahjon ki dua sikhi hai
main ne har rang ki khushbu ki ada sikhi hai
main ne har zahir o batil ka uthaya parda
aur taskhir-e-zamana ki lagan dil men liye
apne hathon men mashaqqat ke kade pahne hain
main ne har aql-o-khirad fahm-o-farasat ka sahara le kar
yuun zamane ko baratne ke hunar sikhe hain
main ne jaane hain sabhi raz-e-nihan aur jahan
aur jaana hai khudi hai to makan mera hai
asman mera
zamin meri
jahan mera hai
Leave a Reply