• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil-E-Bad-Guman Ke Tawahhumat Ajib Hain

Dil-E-Bad-Guman Ke Tawahhumat Ajib Hain

dil-e-bad-guman ke tavahhumat ajiib hain

mire naam ke ye huruf saat ajiib hain

na taḳhaiyyulat giraft-e-harf men aa sake

ye nuzul-e-sher ki mushkilat ajiib hain

tu talash kar koi aur ilaj-e-dil-e-hazin

ki dava-e-ishq ke muzmirat ajiib hain

tire fikr ke bhi hain zaviye sabhi munfarid

tiri guftugu ki sabhi jihat ajiib hain

ik anokhe dard ke paḌ rahe hain bhanvar yahan

abhi bahr-e-gham men tamavvujat ajiib hain

na faqih koi samajh saka na hi to sanam

ki ḳhuda se mere muamalat ajiib hain

sabhi manzaron ko ye dam-ba-ḳhud hain kiye hue

ye tiri nazar ke tahayyurat ajiib hain

tiri tishnagi isi dast-e-zad ki muntazir

dil-e-ḳhush-guman tiri ḳhvahishat ajiib hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bahut Hassas-O-Nazuk Aabgine Wala Main Tanha

Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main

Jo Ahd-E-Nau Mein KHamir-E-Bashar Banaya Jae

poet

Raste Mein Kisi Manzil Pe Bhi Aaram Na Lun

poet

baDhne De Abhi Kashmakash-E-Tar-E-Nafas Aur

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet