• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khud-Kushi Karne Ka Agla Mansuba

Khud-Kushi Karne Ka Agla Mansuba

poet

tai hui thi ek mulaqat railway-track par

lekin rail-gadi ka engine musalsal khansta raha

platform number akhiri par

aur phans gae musafir ek dusre ki galiyon men

so yak-tarfa rahi mulaqat

khidki se bahar pukar raha tha asman

magar chitkhini aur frame ne jakad liya

ek dusre ka haath

aur habs badhta gaya

logon ki amad-o-raft ke saath

chulhe se der tak aati rahin

dhunki hui avazen

aur rangin chehre vaali news-caster ne

dohrai vahi baasi khabar

ki sardi ki shiddat ke baais

mahngi ho gai hai aag

is liye parhez kiya jaae aurten jalane se

pul par izhdiham tha traffic ka

lekin kisi hadse ko dikhai nahin di

hamari surat

aur ham niche utar aae chor darvaze se

dariya ko khali dekh kar

apni miad puuri kar chuki thiin

niind ki tamam davaen

is liye zabt kar li gaiin

aur khali stores men taliyan pitti rahin

sar-dard ki be-asar goliyan

mumkin hai phir se muntazir ho izrail

railway-track par

lekin ham sasti kitabon ke ambar se

talash kar chuke hain

maut ke manzar ke baad

likhe jaane vaala qimti nuskha

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Gulab Hath Mein Ho Aankh Mein Sitara Ho

Hayat Hai Ki Musalsal Safar Ka Aalam Hai

poet

Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam

poet

Shuur-E-Zat thoDa Sa Dil-E-Nadan Mein Rakhte Hain

poet

Samajh Rahe the Ki Ab Shab Gai Sahar Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet