yaron ki ham se dil-shikani ho sake kahan
yaan paas hai na khatir-e-aghyar todiye
ham jaur-e-chashm-e-yar se dam marte nahin
yaani rava hai kab dil-e-bimar todiye
yaan dard-e-sar khumar se hai vaan dukan band
takra ke sar ko ab dar-e-khummar todiye
takraun vaan jo sar to vo kahta hai kya mujhe
sahab na mujh gharib ki divar todiye
dam todna hai furqat-e-janan men apna kaam
kuchh kohkan nahin hain jo kohsar todiye
‘nasikh’ ba-qaul-e-afsah-e-hindostan kabhi
zahid ka dil na khana-e-khummar todiye
Leave a Reply