ghar tha ya koi aur jagah jahan main ne raat guzari thi
yaad nahin ye hua bhi tha ya vahm hi ki ayyari thi
ek anaar ka ped baagh men aur ghata matvari thi
as-pas kaale parbat ki chup ki dahshat taari thi
darvaze par jaane kis ki maddham dastak jaari thi
Leave a Reply