
Meena Kumari Naz
an-kahi an-suni si kuchh baten
suune din aur ye sunsan raten
TuuTe bikhre hue lamhe goya
ek gumnam gham ki saughaten
na koi shahar na rasta na safar
muntashir zehn ki uljhi ghaten
har qadam vaqt ka sahma sahma
har na.e moḌ pe maten maten

Leave a Reply