• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari

Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari

poet

jalson men guzarne lagi phir raat tumhari

is bhiid men jaati na rahe baat tumhari

hai jalva-gar-e-dair-o-haram zaat tumhari

thahri hai do amla men mulaqat tumhari

jalva sifat-e-shama hai gardan se kamar tak

kis nuur ke sanche men dhali gaat tumhari

khole hue gesu na dikhae mujhe surat

mehman mire ghar na hue raat tumhari

pacchisi bahut khelti ho ghair se ai jaan

kaudi ki na ho jaae kahin baat tumhari

ankhon men nahin silsial-e-ashk shab-o-roz

tasbih padha karte hain din raat tumhari

katva ke mire dast-e-tamanna ko vo bole

do haath ghati aaj mulaqat tumhari

farmate hain hans hans ke mujhe dekh ke giryan

le dubegi akhir tumhen barsat tumhari

masti jo laga kar mujhe baton men udaao

ud jaae dhuan ban ke ye zulmat tumhari

pamalon ki ankhon men subuk mujh ko na karna

darta huun ki halki na pade baat tumhari

kahte hain taghaful se mujhe zahr khila kar

in rozon bahut talkh hai auqat tumhari

jo kuchh kaho bar-aks koi kah nahin sakta

kya taab hai ulte jo koi baat tumhari

kahta huun ki bosa bhi mila jaan bhi paai

vaada na karo khair inayat tumhari

ankhon men bhi siine men bhi dil men bhi tumhin ho

kis parde men poshida nahin zaat tumhari

huron men hua karti hain taqrir ki naqlen

dar hai na bigad jaae kahin baat tumhari

pahna ke kafan khaak ke parde men chhupaya

duhre diye khilat ye inayat tumhari

honton se jo phir jaati hai munh ki taraf ai jaan

kya nashshe men bahki hui hai baat tumhari

ki qata abas zulf na tha koi giraftar

tanha rahe be-lutf kati raat tumhari

bad-go ho ye afsana rahe ahl-e-jahan men

qissa ho bigad jaae agar baat tumhari

zakhm ek katari ka inayat nahin hota

kaudi koi milti nahin khairat tumhari

uljha hai magar zulf men taqrir ka lachchha

suljhi hui ham ne na suni baat tumhari

allah re safa munh nazar aata hai badan men

aina hai ai jaan karamat tumhari

farmaishon ka bojh raqibon se na uttha

sad shukr ki halki na hui baat tumhari

shirin se na ho dil kahin farhad ka khatta

darta huun ki shirin hai bahut baat tumhari

kya sher mazedar ‘munir’ aaj padhe hain

har baat men eajaz hai kya baat tumhari

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

meer-mehdi-majrooh

Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain Khud dekhte Jao

Lahu Mein Tar Hai Zamane Ka intiKHab Wajud

poet

Wafa Ka Rang Jo Gahra Dikhai Deta Hai

kishwar-naheed

Hausla Shart-E-Wafa Kya Karna

Pasban Ban Ke Irada Mere Aage Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet