gale lagae mujhe mera razdan ho jaae
kisi tarah ye shajar mujh pe mehrban ho jaae
sitare jhaad ke balon se ab ye kahta huun
koi zamin pe rah kar na asman ho jaae
isi liye to udasi se guftugu nahin ki
kahin vo baat na baton ke darmiyan ho jaae
ye zakhm aise nahin hain ki jo dikhaen tumhen
ye ranj aisa nahin hai ki jo bayan ho jaae
bula raha hai koi asman ki khidki se
so aaj khak-nashin tera imtihan ho jaae
Leave a Reply