laa.eq vafa ke ḳhalq o saza-e-jafa huun main
jitne hain yaan so nek hain jo kuchh bura huun main
ja hai ki hon ye log tire paas us jagah
kab qabil-e-inayat-o-mehr-o-vafa huun main
mujh ko butan ki diid se mat man.a kar ki shaiḳh
kya jaane is libas men kya dekhta huun main
aage mire na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta huun main
begana jin se mil ke tu pyare hua hai yaan
un sab men ik baḌa to tira ashna huun main
puchho ho mujh se tum ki piyega bhi tu sharab
aisa kahan ka shaiḳh huun ya parsa huun main
jaur-e-sipahr o duri-e-yaran o ru-e-ghair
jo kuchh na dekhna tha so ab dekhta huun main
a.ina o ghubar men juun yak-digar hai rabt
jo pur-kadar hain un se ziyada safa huun main
‘qa.em’ hayat-o-marg-e-buz-o-gav men hain naf.a
is mardumi ke shor pe kis kaam ka huun main
Leave a Reply