husn-e-lachar ki baten karen kya
ishq-e-bimar ki baten karen kya
sogvari chaman-e-dil par hai
barg-e-ruḳhsar ki baten karen kya
nar-e-dozaḳh se Darane vaalo
ham kisi naar ki baten karen kya
kaise halat se samjhauta kiya
ab ye be-kar ki baten karen kya
sab makinon se ta.aruf to hua
dar-o-divar ki baten karen kya
vaj.h-e-guftar jo maujud nahin
lutf-e-takrar ki baten karen kya
ghar ki tahzib hai malhuz-e-nazar
ghar men bazar ki baten karen kya
raat bhigi hai ‘shafaq’ aao ab
ḳhvab-e-bedar ki baten karen kya
Leave a Reply