tang kamron men hai mahbus faza ka matlab
kaun samjhega yahan taaza hava ka matlab
phuul se chehre pe bhi lafz-ba-lafz ubhra hai
zard hoti hui tahrir-e-hina ka matlab
ankhen ḳhvabon ke varaq chehra haqiqat ki kitab
ham hi ḳhud paḌh na sake us ki vafa ka matlab
reg-e-sahil pe qalam-band kiya hai kis ne
shab ke jismon ka bayan raqs-e-saba ka matlab
rang-e-hairat men paḌe hain nahin vazeh hota
taaza phulon pe kisi abla-pa ka matlab
Leave a Reply