hamare samne begana-var aao nahin
niyaz-e-ahl-e-mohabbat ko azmao nahin
hamen bhi apni tabahi pe ranj hota hai
hamare hal-e-pareshan pe muskurao nahin
jo taar TuuT ga.e hain vo jaḌ nahin sakte
karam ki aas na do baat ko baḌhao nahin
diye ḳhulus-o-mohabbat ke bujhte jaate hain
garan na ho to hamen is qadar satao nahin
dil-o-nigah ko kab tak koi bichha.e rahe
ye dekh kar ki udhar se koi jhukav nahin
ye aur baat hai kanTon men ji bahal jaa.e
nahin ki lala-o-gul se mujhe lagav nahin
Leave a Reply