jis ko ki dastaras hui daman-e-yar tak
gulshan men dahr ke vahi pahuncha bahar tak
juun khaar us se to nahin hote juda raqib
mujh ko rasai kyon ki ho us gul-ezar tak
abru kahan ne vaza nikali hai ye nai
rahta hai tir-e-ghamza mire dil men maar tak
pyare kahin nazar na lage aaine ki aaj
be-tarah tujh ko rahta hai vo ai nigar tak
ghaflat men teri kaam hamara tamam hai
koi kah de itna yar-e-taghaful-shiar tak
ham sirf dekhne ko hain mahrum aur hai
ghairon ko dastaras tire bos-o-kanar tak
saaqi shitab jam-e-subuhi pila mujhe
kya janiye bachun na bachun main khumar tak
dushman hai meri jaan ka aalam tire liye
yaaro koi sunao ye us dost-dar tak
tujh bazm men jo baar ‘jahandar’ ko nahin
rahta hai rahguzar men tujhe baar baar tak
Leave a Reply