sahra ka safar tha to shajar kyuun nahin aaya
mangi thiin dua.en to asar kyuun nahin aaya
dekha tha jise ham ne kabhi shauq-e-talab men
mahtab sa vo chehra nazar kyuun nahin aaya
ham log to marte rahe qiston men hamesha
phir bhi hamen jiine ka hunar kyuun nahin aaya
lagta hai muqaddar men mire saaya nahin hai
muddat se safar men huun to ghar kyuun nahin aaya
jis ke liye baiThe the bichha.e hue ankhen
mahfil men abhi tak vo bashar kyuun nahin aaya
mausam to har ik shaḳh ke khulne ka ‘zafar’ tha
phir un pe koi barg-o-samar kyuun nahin aaya
Leave a Reply