• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raat Be-KHwabiyon Ka Safar Tere Bin

Raat Be-KHwabiyon Ka Safar Tere Bin

raat be-ḳhvabiyon ka safar tere bin

din hai bechainiyon ka nagar tere bin

qurbaten faslon men badalti rahin

bad-gumani har ik moḌ par tere bin

chandni men sahar, husn, ThanDak na nuur

aib tha us ka har ik hunar tere bin

ḳhvab ḳhana-ba-doshon se phirte rahe

niind bhi ho ga.i dar-ba-dar tere bin

mere balon men chandi pirote rahe

tez-raftar sham-o-sahar tere bin

phir tire lauTne ki ḳhabar aa.i thi

ham nahin the kabhi be-ḳhabar tere bin

ankhen jalti hain meri diyon ki jagah

shaam se ghar ki dahliz par tere bin

ab na savan, na jhule, na sakhiyan, na giit

jaise ḳhamosh saara nagar tere bin

chandni DhunDhti thi tire naqsh-e-pa

raat, taron ki dahliz par tere bin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dil Ko Samjhao Zara Ishq Mein Kya Rakkha Hai

poet

Na Dahr Mein Na Haram Mein Jabin Jhuki Hogi

syed-nazeer-hasan-sakha-dehlavi

Na Ho Tu Jis Mein Wo dil Bhi Hai Kya dil

parveen-shakir

Zud-Pashiman

aalok-shrivastav

Ye Aur Baat dur Rahe Manzilon Se Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet