jan-o-dil sunsan hain ujḌe qabilon ki tarah
ḳhvahishen ḳhamosh hain bebas fasilon ki tarah
yuun kiya bas saans lene bhar ki fursat di hamen
us ne ki ham par masiha.i baḳhilon ki tarah
jis tarah chaha hamen upyog men laaya gaya
ham rahe divar men paivast kilon ki tarah
umr bhar karte rahe ham asmanon ka safar
manzilen chipki rahin qadmon se milon ki tarah
ik zara si gandh kya paa.i ki manDrane lagin
kuchh tamanna.en hain murda-ḳhor chilon ki tarah
vo zamana aur tha har baat par kahte the ji
ab jirah karne lage bachche vakilon ki tarah
Leave a Reply