zaḳhm ko phuul lahu ko jo hina kahte hain
un ko sha.ir nahin sha.ir ka chacha kahte hain
ham to patli si chhaḌi bhi nahin kahte us ko
log aulad ko piiri ka asa kahte hain
sirf afsar use kahna to koi baat nahin
ham to sahab ko clerkon ka ḳhuda kahte hain
shadiyan apni kiya karte hain jo le ke talaq
un ko sab log gada ibn-e-gada kahte hain
us ko piite hi kiya karta huun men sair-e-falak
asmani use sab log baja kahte hain
aḳhirash ho hi gaya shaiḳh se aur ham se milap
vo bhatija hamen ham un ko chacha kahte hain
sun ke avaz-e-azan mis ne ye puchha ‘hashim’
is qadar chiḳh ke masjid men ye kya kahte hain
Leave a Reply