mujassam dagh-e-hasrat huun sarapa naqsh-e-ibrat ka
mujhe dekho ki hota hai yahi anjam ulfat ka
unhen shauq-e-dil-azari hamen zauq-e-vafadari
khuda-hafiz hai ab apne kishor-e-kar-e-ulfat ka
visal-e-yar ki ai dil koi pur-zor koshish kar
hava-e-ah se parda utha de sham-e-furqat ka
dil-e-pur-shauq ne daala hai mujh ko kis kashakash men
idhar hai had ki be-sabri udhar vaada qayamat ka
tum aise be-khabar bhi shaaz honge is zamane men
ki dil men rah ke andaza nahin hai dil ki halat ka
jahan men chaar din rah kar faqat bu-e-vafa dena
gulon se main sabaq leta huun ain-e-sohbat ka
laga rakhta hai us ki nazr ko chashm-e-tamanna ne
vo ik aansu ki majmua hai saari dil ki taqat ka
miri qudrat se ab ikhfa-e-raz-e-ishq bahar hai
ki rang aane laga hai ansuon men khun-e-hasrat ka
ik ah-e-sard bhar leta huun jab tum yaad aate ho
khulasa kis qadar main ne kiya hai ranj-e-furqat ka
vo dil hai bazm-e-alam men ‘nazar’ ik saz-e-bashkasta
na chhede tar-e-hasti par jo naghma us ki qudrat ka
Leave a Reply