shor andar jo hai barpa vo sada ho na saka
lafz zanjir-e-ma.ani se riha ho na saka
baat chaukhaT se jo nikli to jabin tak pahunchi
phir jo sajda mujhe karna tha ada ho na saka
itni si baat men simTi thi kahani saari
us ki main ho na saki aur vo mira ho na saka
har sanam-ḳhane ki qismat nahin ka.abe jaisi
dil men jo but tha sajaya vo ḳhuda ho na saka
alam-e-kun men raha shor mire hone ka
phir koi hadisa mujh se bhi naya ho na saka
tohmat-e-ahd-e-tamanna se bhi naya ho na saka
aaj tak jis se koi ahd vafa ho na saka
Leave a Reply