• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sab Khayal Uske Liye Hain Sab Sawal Uske Liye

Sab Khayal Uske Liye Hain Sab Sawal Uske Liye

akhtar-husain-jafri

sab ḳhayal us ke liye hain sab saval us ke liye

rakh diya ham ne hisab-e-mah-o-sal us ke liye

us ki ḳhushbu ke ta.aqub men nikla aaya chaman

jhuk gai su-e-zamin lamhe ki daal us ke liye

sarv ta ḳhak-e-giyah apni vafa ka silsila

sar-kashida us ki ḳhatir paemal us ke liye

kya makan-ḳhurda ḳhalaiq men chale us ka ḳhayal

tang-ha-e-shahr kuchh rasta nikal us ke liye

shaḳh-e-tanhai se phir nikli bahar-e-fasl-e-zat

apni surat par hue ham phir bahal us ke liye

vasl ke badle men kya dagh-e-sitara mangna

is shab-e-be-ḳhanaman se kar saval us ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Phail Ke Viranon Se Virane Milenge

akhgar-mushtaq-raheem-aabadi

Hangama-e-Afat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

bigDi Hui Qismat Ko Badalte Nahin Dekha

La-Makan Nam Hai ujDe Hue Virane Ka

poet

Chahen Hain Ye Hum Bhi Ki Rahe Pak Mohabbat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet