• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jis Mein Na KHushi Ho Wo Mohabbat Nahin Achchhi

Jis Mein Na KHushi Ho Wo Mohabbat Nahin Achchhi

poet

jis men na ḳhushi ho vo mohabbat nahin achchhi

kulfat se jo ḳhali ho vo rahat nahin achchhi

kahta hai hasinon ki mohabbat nahin achchhi

aur naseh-e-kam-fahm ye aadat nahin achchhi

tum par jo na aa jaa.e to vo dil nahin achchha

tum par jo na maa.il ho tabi.at nahin achchhi

be-dil liye dete ho jo tum ghairon ko bose

nuqsan hai is men ye muravvat nahin achchhi

dilva.en mujhe galiyan ghairon se sar-e-bazm

o shoḳh ye dar-parda shararat nahin achchhi

divane nahin ham jo giraftar-e-bala hon

vaqif hain ki in zulfon ki ulfat nahin achchhi

‘sabir’ ne sar-e-bazm jo chheḌa to vo bole

kambaḳht yahi to tiri aadat nahin achchhi

‘sabir’ shajar-e-ḳhushk se ummid-e-samar kya

jo faiz se ḳhali ho vo ḳhidmat nahin achchhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ai Tajalli Kya Hua Shewa Teri Takrar Ka

Tewar Bhed Batate Hain Ye Nam-Alud Hawaon Ke

Mahfilon Ko Guzar Pae Hum

Shauq Jab Jurat-E-Izhaar Se Dar Jaega

Nahin Aasan Kisi Ke Waste taKHmina Mera

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet