khabar hai ki aaya gulabon ka mausam
gulon ke badan par hai kanton ka mausam
khuda jaane is rut men kya gul khilae
gulistan ka joban ye kaliyon ka mausam
labon ki shararat nazar se isharat
dam-e-vasl kaisa hayaon ka mausam
ye daur-e-mohabbat bhi kaisa ajab hai
huun ankhon men baten isharon ka mausam
havae judai ye kaisi chali phir
ghamon ki faza men azabon ka mausam
jo pyase hain ‘bano’ tum un ko sada do
ki sahra men utra hai chashmon ka mausam
Leave a Reply