gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-khun-fishan kya kya
hamare zeb-e-daman hai bahar-e-gulsitan kya kya
kashud-e-matlab-e-ashiq ke hain lab par guman kya kya
ada-e-khamushi men bhar diya rang-e-bayan kya kya
faqat ik sadgi par shokhiyon ke hain guman kya kya
nigah-e-sharmagin se hai nihan kya kya ayaan kya kya
dil-e-khun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-khizan kya kiya
junun se kam nahin hai kuchh hujum-e-shadmani bhi
hava-e-gul men hai jaame se bahar baghban kya kya
tasavvur men visal-e-yar ke saman hote hain
hamen bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya kya
chali aati hai itrai hui kuchh ku-e-janan se
basi hai rashk ki bu men nasim-e-bostan kya kya
qadam rakhte nahin hain vo zamin par be-niyazi se
badha jaata hai yaan shauq-e-sujud-e-astan kya kya
‘zahir’-e-khasta-jan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai
majazi men haqiqi ke hue hain imtihan kya kya
Leave a Reply