kyuun yaqin rakkhen khayal-o-khvab par
jam na jaae gard-e-gham aasab par
pitte rahna lakiren hai abas
ghaur karna chahiye asbab par
likh raha hai raushni ki dastan
ik diya jalta hua mehrab par
apne dukh ka majra chheda nahin
ye mira ehsan hai ahbab par
tum bhi duniya valon jaise ho gae
pad gai thi kya nazar surkhab par
kashtiyan ‘rumi’ dubote ham rahe
tohmaten lagti rahen girdab par
Leave a Reply