Hum Pe Wo Mehrban Kuchh Kam Hai

ham pe vo mehrbān kuchh kam hai

is liye ḳhush-bayān kuchh kam hai

miT gayā huuñ par us kī nazroñ meñ

ab bhī ye imtihān kuchh kam hai

shahr meñ yuuñ zamīñ to kaafī hai

nīlgūñ āsmān kuchh kam hai

ġham ke sāmān kuchh ziyāda haiñ

is mutābiq makān kuchh kam hai

sar chhupā.ūñ to paañv jalte haiñ

mujh pe ye sā.ebān kuchh kam hai

zindagī aur de azaab mujhe

mujh pe aa.ed lagān kuchh kam hai

fasl-e-bārūd hai pahāḌoñ par

is baras za.afrān kuchh kam hai

Leave a Comment