ishq men ye nadani karni paḌti hai
us ke naam javani karni paḌti hai
inhen bachana paḌta hai ta.abiron se
ḳhvabon ki nigarani karni paḌti hai
aag laga.i ja sakti hai paani men
ik koshish la-sani karni paḌti hai
sunte sunte jab bachche so jaate hain
mujh ko ḳhatm kahani karni paḌti hai
ḳhvahishat ko mumkin hai bas men karna
un ki na-farmani karni paḌti hai
apne aap ko sachcha sabit karne men
aksar laghv-bayani karni paḌti hai
kabhi kabhi main yuun bachcha ho jaata huun
kabhi kabhi shaitani karni paḌti hai
Leave a Reply