• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sae Jo Sang-E-Rah the Raste Se haT Gae

Sae Jo Sang-E-Rah the Raste Se haT Gae

saa.e jo sang-e-rah the raste se haT ga.e

dil jal uTha to ḳhud hi andhere simaT ga.e

din bhar jale jo dhuup ke bistar pe dosto

suraj chhupa to chadar-e-shab men simaT ga.e

vo karb tha ki dil ka lahu aanch de uTha

aisi hava chali ki gareban phaT ga.e

vo fikr thi ki dida-o-dil muzmahil hue

vo gard thi ki ghar ke dar-o-bam aT ga.e

aa.i jo mauj paanv zamin par na jam sake

dariya chaḌha to kitne safine ulaT ga.e

phaila ghubar-e-gham to kahin munh chhupa liya

andhi uThi to ghar ke sutun se lipaT ga.e

kahte the jis ko qurb vahi fasla bana

badla jo ruḳh nadi ne ka.i shahr kaT ga.e

gumnam the to sab ki taraf dekhte the ham

shohrat mili to apni ḳhudi men simaT ga.e

dastak hui to dil ka daricha na khul saka

aa.e aur aa ke yaad ke jhonke palaT ga.e

main ḳhud hi apni raah ka patthar bana raha

har chand aap bhi mire raste se haT ga.e

dil ko kisi ki yaad ka gham chaTta raha

yuun meri zindagi ke ka.i saal ghaT ga.e

zindan-e-gham ka dhyan bhi ḳhanjar se kam na tha

zanjir ki khanak se mire paanv kaT ga.e

riste rahenge dida-e-hasrat se umr bhar

‘zulfi’ jo zaḳhm pa-e-talab se chimaT ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shah-naseer

dil Jalwa-Gah-E-Surat-E-Jaanana Ho Gaya

Mar Mar Ke Jiye Yun Duniya Mein Jine Ka Saliqa Bhul Gae

Na Sham Hai Na Sawera Ajab Dayar Mein Hun

Mujhko Is Taur Tujhko Pana Hai

poet

Udhar Wo Be-Murawwat Bewafa Be-Rahm Qatil Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet