kaho dair-o-haram ya naam apna astan rakh do
sar-e-taslim ḳham hai tum jahan chaho vahan rakh do
ghaTa kar qaid-e-azadi baḌha do gham asiri ka
qafas ko ashiyan men ya qafas men ashiyan rakh do
tasalli dene vaalo ham tahi-dastan-e-qismat hain
sar-e-daman jo mumkin ho to dil ki dhajjiyan rakh do
zarurat jaan ki dil ko main be-parva-e-hasti huun
jahan dil hai vahin ab meri jan-e-na-tavan rakh do
ḳhuda kahlao ya kuchh aur sab kuchh mujh ko kahna hai
idhar aao mire munh men tumhin apni zaban rakh do
vafa ka raaz is majme.a men khola ja nahin sakta
siva mahshar ke koi aur roz-e-imtihan rakh do
mohabbat aur tasalli us pe hosh-e-zindagi ‘kaifi’
nahin uThta agar kandhe se ye bar-e-garan rakh do
Leave a Reply