subh ko shaam likh diya main ne
apna anjam likh diya main ne
mujh se pucha gaya vafa kya hai
bas tira naam likh diya main ne
aati jaati hui havaon par
dil ka paigham likh diya main ne
giit ghazlen rumaiyan nazmen
sab tire naam likh diya main ne
‘shama’ in ansuon ko aahon ko
ishq inaam likh diya main ne
Leave a Reply