jalva-gar aaj hai vo mehr-e-munavvar ki tarah
baḳht apna bhi chamakta hai sikandar ki tarah
us ki raftar hai bas mauja-e-kausar ki tarah
guftugu men hai khanak shisha-o-saghar ki tarah
kis ko yara-e-suḳhan hai use ham bhi dekhen
vo muḳhatab hai magar davar-e-mahshar ki tarah
kya ḳhabar log kise apna ḳhuda kah denge
laakh but ham ne tarashe to hain aazar ki tarah
kis pe is daur-e-pur-ashob men takiya kiije
rahzan bhi to nazar aate hain rahbar ki tarah
manzil-e-faqr-o-ghina kya hai ye ham se puchho
zindagi ham ne guzari hai qalandar ki tarah
kitne tufan hain pinhan koi dekhe to ‘habab’
maujzan hai dil-e-sha.ir bhi samundar ki tarah
Leave a Reply