banti nahin baat to phir baat kya karen
bigḌe hue hain shahr ke halat kya karen
aati nahin giraft men sanson ki Doriyan
hain gardish-e-mudam men din-rat kya karen
lafzon ki ek fauj hai apni kaman men
munh men nahin zaban to maqalat kya karen
TuuTa ta.alluqat ka har ek silsila
ThanDe paḌe hain vasl ke jazbat kya karen
ai dost chara-sazi-e-chara-garan na puchh
bad-tar hue hain aur bhi halat kya karen
aish-o-tarab ki mahfilen un ka nasib hain
ham ko mile hain dard ke naghmat kya karen
Leave a Reply