har-chand bhare dil men hain lakhon hi gile par
kya kahiye ki khulta nahin munh vaqt mile par
be-dard vo aisa hai ki marham ki jagah haae
chhidke hai namak mere har ik zakhm chhile par
ta dil ko na vashud ho to kya lutf mile haae
khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par
mashhur javani men ho vo kyuun na jagat-baz
mailan-e-tabiat tha ladakpan se zile par
ham gulshan-e-hairat men hain parvaz kahan ki
juun bulbul-e-tasvir kabhi tuk na hile par
sun vasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare
mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile par
kis munh se bayan kijiye vo lutf ki ‘jurat’
dushnam jo vaan milti hain tuk aankh mile par