ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana
dard-e-dil hai jise aata hai dava ho jaana
dars-e-himmat hai na.e rah-rav-e-ulfat ke liye
kanTe paana to mira barahna-pa ho jaana
ishq pyara hai to ne.amat hai gham-e-mahjuri
in ka milna hai mohabbat ka juda ho jaana
hosh la-hasli-e-shikva-e-nakami hai
be-ḳhudi men mira razi-ba-raza ho jaana
ai pashiman-e-sitam ja ki jahan dekh chuka
mera marna tire va.ade ka vafa ho jaana
vasl-e-janan ki tamanna hai to miT ja pahle
yuun mayassar nahin bande ko ḳhuda ho jaana
saans ginta huun tamanna men ki dekhun ‘mani’
gham-e-dil ka adab-amoz-e-fana ho jaana
Leave a Reply