harif koi nahin dusra baḌa mera
sada mujhi se raha hai muqabla mera
mire badan pe zamanon ki zang hai lekin
main kaise dekhun shikasta hai aa.ina mera
mire ḳhilaf zamana bhi hai zamin bhi hai
munafiqat ke mahazon pe morcha mera
main kashtiyon ko jalane se ḳhauf khata nahin
zamana dekh chuka hai ye hausla mera
mire saval se har shaḳhs ko malal hua
pe hal kiya na kisi ne bhi mas.ala mera
Leave a Reply