kab tak mujh se pyaar karoge
kab tak?
jab tak mere rahm se bachche ki takhliq ka khuun bahega
jab tak mera rang hai taaza
jab tak mera ang tana hai
par is ke aage bhi to kuchh hai
vo sab kya hai
kise pata hai
vahin ki ek musafir main bhi
anjane ka shauq bada hai
par tum mere saath na hoge tab tak
How long?
Leave a Reply