ham ko ah-o-buka nahin karna
un ko va.ada vafa nahin karna
ham pe ilzam hai udasi ka
rad is ilzam ka nahin karna
tujh se be-shak hamen bichhaḌna hai
par tera dil bura nahin karna
shaiḳh ji rind ko na samjha.en
is ko kya karna kya nahin karna
ashiqi dil-lagi ka saman hai
in ko qaidi riha nahin karna
Leave a Reply