mire sukun ki duniya men iztirar nahin
nahin nahin mujhe ab tera intizar nahin
vo bevafa.i ke qaa.il main jan-nisari ka
kisi ko apni tabi.at pe iḳhtiyar nahin
samajh sake koi kya mere zarf-e-ali ko
piye hain mai-kade lekin zara ḳhumar nahin
tiri nigah se gir kar yaqin hua mujh ko
jahan men koi kisi ka bhi gham-gusar nahin
mire ḳhafif tabassum pe bhulne vaalo
main kamgar nahin huun main kamgar nahin
hain dil se tark-e-mohabbat ke mashvare lekin
tumhen bhula bhi sakunga ye e’tibar nahin
muamle men mohabbat ke bad-guman huun ‘raaj
vo kya hain mujh ko ḳhuda ka bhi e’tibar nahin
Leave a Reply