kahaniyan bhi gaiin qissa-khvaniyan bhi gaiin
vafa ke baab ki sab be-zabaniyan bhi gaiin
vo bazyabi-e-gham ki sabil bhi na rahi
luta yuun dil ki sabhi be-sabatiyan bhi gaiin
hava chali to hare patte suukh kar tuute
jo subh aai to hira-numaiyan bhi gaiin
vo mera chehra mujhe aaine men apna lage
isi talab men badan ki nishaniyan bhi gaiin
palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahin
vo ahd-e-zabt bhi tuuta shitabiyan bhi gaiin
mujhe to aankh jhapakna bhi tha giran lekin
dil o nazar ki tasavvur-shiariyan bhi gaiin
Leave a Reply