jaane kya baat hai kyuun garmi-e-bazar nahin
ab koi jins-e-vafa ka bhi ḳharidar nahin
log ik shaḳhs ko le jaate hain maqtal ki taraf
is pe ilzam hai utna ki gunahgar nahin
zindagi zaḳhm sahi zaḳhm ka darman kiije
koi is shahr men zaḳhmon ka ḳharidar nahin
paikar-e-sher men Dhal jaa.e kisi ka chehra
mere iz.har-e-mohabbat ka ye me.aar nahin
teri ik nichi nazar umr ka sarmaya hai
saqiya main tire saghar ka talabgar nahin
yuun bhi ham dard ko pahlu men chhupa lete hain
mujrim-e-shauq hain rusva sar-e-bazar nahin
apni marzi se yahan mujh ko baha le jaa.e
tez itni to abhi vaqt ki raftar nahin
aap ke dard se rishta hai mire dil ka ‘ra.is’
kaun kahta hai ki main aap ka gham-ḳhvar nahin
Leave a Reply