na zahr-e-khand labon par, na aankh men aansu
na zakhm-ha-e-darun ko hai justuju-e-maal
na tirgi ka talatum, na sail-e-rang-o-nur
na khar-zar-e-tamanna men gumrahi ka khayal
na atish-e-gul-e-lala ka daagh siine men
na shorish-e-gham-e-pinhan na arzu-e-visal
na ishtiyaq, na hairat, na iztirab, na sog
sukut-e-sham men khoi hui kahani ka
tavil raat ki tanhaiyan nahin be-rang
abhi hua nahin shayad lahu javani ka
hayat o maut ki had men hain valvale chup-chap
guzar rahe hain dabe paanv qafile chup-chap
Leave a Reply