• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Buto Ye Shisha-E-dil Tod do Khuda Ke Liye

Buto Ye Shisha-E-dil Tod do Khuda Ke Liye

poet

buto ye shisha-e-dil tod do khuda ke liye

jo sang-dil ho to kya chahiye jafa ke liye

saval yaar se kaisa kamal-e-ulfat ka

ki ibtida bhi to hai shart intiha ke liye

khuda se tujh ko sanam mangte to mil jaata

magar adab ne ijazat na di dua ke liye

azab-e-atish-e-furqat se kanpta tha dil

hazar shukr jahannam mila saza ke liye

na dil laga ke hua mujh se ishq men parhez

bigad gaya jo kisi ne kaha dava ke liye

mila unhen bhi talavvun mujhe bhi yak-rangi

khususiyat na rahi sarsar o saba ke liye

khuda ne kaam diye hain juda juda sab ko

sanam jafa ke liye hain to ham vafa ke liye

jahan-navard rahe ham talash-e-matlab men

chale na ek qadam ghair-e-muddaa ke liye

mushaira men padho shauq se ghazal ‘bimar’

ki mustaid hain sukhan-sanj marhaba ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Darkar Kuchh Nahin Teri Mehr-O-Wafa Ke Baad

shaista-mufti

Lafz To Banjh Hain

Mujhe Wo chhoD Kar Jab Se Gaya Hai Intiha Hai

Aandhiyon Se Hain Rabte Uske

Ab Agar Aur Chup Rahunga Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet