Magar Nahin Tha Faqat Mir KHwar Main Bhi Tha

magar nahīñ thā faqat ‘mīr’ ḳhvār maiñ bhī thā

ki ahl-e-dard meñ āshufta-kār maiñ bhī thā

sabā kī tarah use bhī na thā sabāt kahīñ

na jaane kyā thā bahut be-qarār maiñ bhī thā

panāh lenī paḌī thī mujhe bhī saa.e meñ

rahīn-e-minnat-e-dīvār-e-yār maiñ bhī thā

hazār apnī tabī.at pe jabr kartā thā

maiñ sabr kartā thā be-iḳhtiyār maiñ bhī thā

ye kis ne dekhā ki mujh be-navā ke dāman meñ

mohabbateñ thiiñ bahut sāya-dār maiñ bhī thā

Leave a Comment