bol sakte hain magar baat nahin kar sakte
vaqt aisa hai savalat nahin kar sakte
facebōk ka bhi ta.alluq hai ta.alluq kaisa
dekh sakte hain mulaqat nahin kar sakte
itna gahra hai yahan kunj-e-ḳhurafat ka shor
log ab tarfa munajat nahin kar sakte
uḌ to jaa.en shajar-e-ḳham ke zindan se ham
dost hai dost se ham haath nahin kar sakte
itna saffak hai ehsas ka manzar-nama
log andaza-e-sadmat nahin kar sakte
kya ye kam sadma hai do tarfa mulaqat ke beach
bol sakte hain magar baat nahin kar sakte
bas koi dukh hai jis baar numu karna hai
jis ko ham rizq-e-ibarat nahin kar sakte
Leave a Reply