siyah sayon ki tishnagi men
udaas lamhon ko saath rakkho
shikasta lafzon ke sahilon par
safed jhagon men aks dhundo
khandar ki bosidgi men chhup kar
purani yadon ke hont chumo
khala ke shanon pe haath rakh kar
siyahi-e-shab ki zulf sungho
sahar ki nazuk hava ki ujli kalai pakdo
badan ki piili barahnagi ko bayan kar do
Leave a Reply