ye Thiik hai vo ham ko mayassar nahin hua
lekin kahan kahan vo munavvar nahin hua
lauTa jo shaam ko to koi muntazir na tha
is baar be-qarar mira ghar nahin hua
kya jaane kab utarne lage vo dimagh par
koi junun ka vaqt muqarrar nahin hua
sab jitne ki zid pe yahan harne lage
sadiyon se koi shaḳhs sikandar nahin hua
baazu to kaT ke juḌ ga.e meri hayat se
lekin abhi nasib mujhe sar nahin hua
phal toḌ leta aaj main apni hayat ka
achchha hua ki haath men patthar nahin hua
sahra se lakhon baar nichoḌi ga.i hai pyaas
phir bhi samundaron ka gala tar nahin hua
Leave a Reply