be-bak na dekha koi qatil ke barabar
sharm aankh men paa.i na ga.i til ke barabar
dushman koi ai yaar mira aur tira dost
hoga na zamane men mire dil ke barabar
dil muttasil-e-kucha-e-mahbub hua gum
luTna tha pahunch kar mujhe manzil ke barabar
kam-baḳhti-e-va.iz hai ki ho va.az ki sohbat
rindan-e-qadah-nosh ki mahfil ke barabar
ham pi ga.e jo ashk qarib-e-mizha aaya
kashti hui jab gharq to sahil ke barabar
aahon ke sharar gard nahin dagh-e-jigar ke
tabinda hain aḳhtar mah-e-kamil ke barabar
parda na uTha qais ne laila ko na dekha
jhonka bhi na aaya koi mahmil ke barabar
maqtal men ye hasrat rahi ai zo.af pas-e-zab.h
pahunche na taḌap kar kisi bismil ke barabar
ghar tak dar-e-janan se ‘jalal’ aa.iye kyuun kar
ek ek qadam hai ka.i manzil ke barabar
Leave a Reply