vo hamari samt apna rukh badalta kyuun nahin
raat to guzri magar suraj nikalta kyuun nahin
thiik uthte hain qadam bhi raah bhi hamvar hai
bojh apni zindagi ka phir sambhalta kyuun nahin
jis tarah vo chahta hai dhaal leta hai hamen
vo hamare dil ke paimane men dhalta kyuun nahin
kya mohabbat men kabhi hoti hai aisi kaifiyat
vo qarib-e-jan hai lekin dil bahalta kyuun nahin
aadmi ke dil ka jauhar yuun to iman hai magar
aj-kal bazar men sikka ye chalta kyuun nahin
jaane kaisi hain ye zanjiren hamare paanv men
garmi-e-raftar se loha pighalta kyuun nahin
is maal-e-shauq par sab haath malte hain magar
tu kabhi ‘afsar’ kaf-e-afsos malta kyuun nahin
Leave a Reply